25 December 2007
Aj Kyun ?
Chaudhvin ki raat main,
adhhora hai chand aj kyun
Baraste hue is aab main,
khushk hai sehra aj kyun
Kuch aise marasim the,
jo bhool gaye kabke
Phir kyun uthti hai tees,
behta hai lahoo aj kyun
Silsile tor gaye tum aise
ki do anjane the hum jaise
Phir jo aye ho tum milne
to pareshaan hai dil aj kyun
Har ek shakh pe parinda
sathi hai mere gham ka
Phir bhi kyun lagta hai
main hun jaise tanha aj kyun
Silsila
Shab yeh marham hai teri tanhayi ki
Jo silsile tor gaya voh tera daur nahin
muddatein beet gayin ishq ke izhaar ke baad
Jo tera na hua voh kisi ka jor nahin
misl mehtaab ki nikla tha falak pe voh noor
Jo sunayi bhi de voh aisa shor nahin
daag jo dil main lage voh ab dhulein kaise
vaqt ki raftaar ke mitte hain nishaan aur nahin
mehtaab= moon; falak=sky; noor=light;
21 December 2007
Ab Kisse Kahun..........
kab se baithe jeevan hare
karm aur dharm ka yeh sangarsh
ab sab kuch tere sahare
voh pavitra bhi vichitra hai
jo tera charitra sanvare
abhilasha se nirash yeh man
bas tujhko hi pukare
kyun kahun aur kisse kahun
jab ho gaya man tere vare
madhya sagar main khoj raha pag
koi to meri nayya ubare
13 December 2007
Pasbaan (The Defender)
akhri waqt main kya khaak qadardaan honge
jo kal ghar aye the kya aj mehmaan honge
muddatein beet gayin yuhin muntazir rehkar
ab jo aye ho tum to dil pareshan honge
rukjao ki kuch lamhein udhar rooh se lun
na yun chor chale jism jo meherbaan honge
har lamha justujoo hai ki dam nikle to tum aoo
us sehar main bhi hum tere pasbaan honge
muntazir= awaiting; pasbaan=defender
05 December 2007
First Snow of Season
Shwait hai dharti aur chandrama ko hui jalan
hriday aj phir kyun kar raha smaran
swaksh amrit banke tapakta hai yeh jal
har taraf umang phir kyun jal raha hai man
vichitra sanyog aisa ki voh apsara bekhabar
main phir kyun baitha uski yad main magan
tirche naynon main ulajhti hain chanchal kirne
khitij hai phir kyun pulkit kaisi yeh chitvan
neele ambar se utarte hain sushobhit rang
ujala hai har kan phir kyun lagi lagan
pichli barkha ki tarah yeh rang utar jayega
ho rahe jo prasan to kyun phir shithil hai tan
Shwait=White; Chandrama=Moon; Hriday=Heart; Smaran=Remembering;
Swaksh=Pure; Kirne=rays; Khitij=horizon; pulkit=happiness;
ambar=sky; kan=particle; barkha=rain; prasan=happiness; shithil=weak.
15 November 2007
Musaafir
manzil manzil dar badar bhatakta raha
hua ahsaas jaise koi zinada hai
us sukoot-e-shab main koi parinda hai
jo khatm karde zindagi kisi ke liye
duniyan main voh kyon sharminda hai
aisa kyon lagta hai koi paas hai
murda hai jab jag to kyon pyaas hai
waqt aur lamha ruka sa raha
phir main aj kyon sonchta raha
sukoot-e-shab: peace of night
14 August 2007
Madhya ratri ka ek swapn.....
hui jab madhya ratri, so raha tha jag
us samay kaal ke bhanvar ko bhed kar
dashakon ki chir nidra tyag kar
ek swapn swatantrata ka chal para us pag
uski shashti purti pe aoo naman karein
tejaswi parakram ko jo vishisht hai
ahinsa aur satya ke aadhar jo aseem hai
pragati ke is path pe phir prayasrat rahein
-----swatantrata diwas ki hardik shbhkamanayein
09 July 2007
Pani (from the land of sacred 'waters')
Maghribi dhundh main bah gaya pani
Laaj aur sharm le gaya pani
Adab se hum na baith paye
Hichkiyon main pee gaye pani
Jo pak hota tha kabhi ganga main
voh aj khushk ho gaya pani
Lahoo nahaq ka kisne bahaya hai
Pee rahe the ki surkh ho gaya pani
Beabroo hui hurmat kya fasana hai
Dard aisa ki ashq ban gaya pani
taajjub yeh ki phir bhi bahta hai
ab kya kahein ki lajwaab pani
Maghribi= Western; khushk=dry; nahaq= innocent;
surkh=red; lahoo= blood; Hurmat= respect; fasana=story;
ashq=tears;
11 June 2007
Kshitij (The Horizon)
Kampit ho raha hriday aj phir marmita sa
Chanchal krinay aur chandni nai dastak di hai
Shobhit hai diwas, sham main ujyala sa
Us prahri ke aseem prayas safal hue
So raha jag, ban gaya swapn darpan sa
Tere aagman ki pratiksha main man vairagi hai
Dar phir hai ki dil ho na jaye diljala sa
04 April 2007
Sehar
har pal har shama khamosh gumsum hai
ek bebas aawaz chupchap dharakti hai
kaoi to ho jo subah se pahle aye
is tarik rat main ek shama jalaye
main qlalam ke aasuon ko rokta raha
voh shab-e-gham youn tarapta raha
yeh khoon zameen pe kisne bahaya hai
aisa lagta hai koi lot aya hai
ham farishton ko bhi millat main mila lete
khoon insaniyat ka gar you na bahate
waqt thahar chuka hai yeh meraj kaisi
shayad sehar hone ko hai pahle jaisi
sehar=morning;shab-eghab: night of mourning;
01 April 2007
Paigham (Message for everyone)
paigham gar mohabbat ho insaniyat ka
to shigaaf na ho phir ittehad main
voh aawaz dein to kahna justojoo hai bas
ho amn aur sukoon phir bazar main
subah se lash uthata hun sham tak
kate hain sar kisne phir makan main
waqt aur lamha palat nahin sakta
kash voh fiza ho phir avaam main
har gali khush rang kahkashan si ho
aao baland hath karein phir dua main
paigham=message; shigaaf=divide; ittehad=unity;
amn=peace;lash=dead body, avaam=citizens;
09 March 2007
Sajda
raqbat-e-ilahi aur zehan pak hai
yeh kin uchaiyon ko chu liya maine
sajde main sar hai kham,koi nahin hai gham
teri bandigi main khud ko kho diya maine
na chahiye mujhe jannat na hai dozaq ka khauf
kam jo a sake to sar apna kata diya maine
har lamha har waqt bas tu nazar ata hai
yeh kaisa moijza hai ki dard pi liya maine
raqbat-e-ilahi=divine love; moijza=miracle;
07 March 2007
Gumsum
voh jo shama na jal saki
waqt rukta nahin kisi ke liye
main barhta raha usi ke liye
ye kaisa bhanvar,kaisi khamoshi
jis taraf nigah hai
vahan rah nahin dikhti hai
ab phir se sonchta hun
ki kyon main dhoondhta hun
kahan hai voh saqi
jo hai nahin baqi
shabd gumsum, tareeki si chayi hai
shayad kho chuka main yahin
ya jaan baqi hai kahin?
06 March 2007
Na roko is tarah...
na roko is tarah ki main ja nahin sakta
voh bulaenge to kya main a nahin sakta
shab hogi ya sahar hogi kisko fiza ka khauf?
us waqt hosh hoga yeh bata nahin sakta
phir yahi sham, phir vahi khushnuma khayal hai
haya main chip raha ki sir chipa nahin sakta
main badal ki tanhayi ko na samjha kabhi
ashq hain jari ki juda ho nahin sakta
shab=night;sahar=morning
;khauf=fear
Kuch Uljhe Shabd
shabdon ke pher main na uljho is tarah
yeh awazein hain jo tumhein kha lengi
mera man to sada tha aur seedha rahega
jo puch rahe ho tum, kya khayal hai?
aj phir main sonchta hun voh bete hue din
waqt thahar chuka hai, nabz baqi hai abhi
sharmindagi nahin, par haya to ati hai
nam tera mahfil main kis ne pukara hai?
nabz=pulse;
05 March 2007
Ummid qayam hai....
ummid qayam hai taqdeer har waqt banti hai
mere rahbar teri tasveer bar-aqs banti hai
tasavur-e-ilahi aur tera gham jana
jis traf dil hai vahan rah savarti hai
yeh kaise marasim hain jo har waqt hain taza
dard hota hai dil main to tees si uthti hai
hamein kon samjahay ki mohabbat kya hai
voh bat bhi karte hain jahan bat nahin banti hai
Taqdeer=fortune; rahbar: guide; bar-aqs=face to face;
tasavur-e-ilahi= thinking about God; rah=way; marasim= relations;
tees=pain
Madhoshi
asmanon ki har kashish ko chumta chala
yun jhoomta chala ki main ghoomta chala
dil-e-ashiqi main bhi bahut se arman qayam hain
phir yeh sanjidgi ka alam kyon chata chala
yeh kon hai jo madhoshiyon main hosh rakhta hai
khumari ka yeh asar ki main dubta chala
masjidain bula rahi hain aur maikhane saje hue
mujhko nahin hai hosh ki main chalta chala
maikhane=bars; masjid=mosque
Rubaroo
maut ho jati sharminda insaniyat ke jane par
hai har ghar main chirag is bat ka parcham
ki moijze baqi hain kuch aur dikhane par
garibi teri bebasi aur teri tanhayi ka alam
badal na sakega yun amiri ke ane par
shan-e-haq aur batil ke beech ka farq zinda hai
varna sab khatm ho chuka hota uske jane par
batil=evil; shan-e-haq=good; moijze=miracle;
bar-aqs=rubaroo (face to face); parcham=flag;
04 March 2007
al-muntazir
naqsh dil main sajoye rakhe hai
ashq hamne bhigoye rakhe hain
al-muntazir ap ki amad main ham
daman apna bichaye rakhe hain
har lamha har waqt tera intezar
qayam vujood dil main beqarar
mahfil jo sham se saj na saki
mehmaan apke bulaye baithey hain
---Tribute to "Mahdi"
ashq=tears; al-munatzair=awaiting;
Pratibimb (Reflection)
pratibimb chakrit hai,
koi use vishram to de.
thak chuke ab yeh asoon,
koi inhein tham to le.
surya nikla hai chitij pe,
uski hi mahima hai.
pushp jo mahak utha,
uski hi garima hai.
bik rahi bazaron main,
apsara mere khwabon ki.
pawitra hai vishisht hai,
koi uska dam to de.
yeh sanyog hai yo viyog,
shrangar ka abhilashi man.
kis tarah milenge priyatam,
koi mujhe jawab to de.
chakrit=disturbed; vishram=rest;
chitij=horizon.
05 February 2007
Why the future doesn't need us ?
Listening to the idea that machines can overthrow humans is hard to believe but could be a possibility with very high probability. Similar ideas were also expressed in popular science fiction movies such as Matrix and I-Robot but I have never realized the incumbent danger. On reading someone who has provided the whole world a new direction with his programming tools like UNIX operating system and Vi Editor makes me think in the similar way. Probably I am also a part of neo-ludditism or I am not, it doesn’t make a difference because we all need to re evaluate our technological progress. Are we going in the right direction? Should we retard the process of development? What should be the limit of it and is it the end of the world which we are approaching? There are many questions which remains unanswered in my mind after reading this article from Bill Joy.
“Nature has given enough to meet man’s need but not enough to meet man’s greed”. The famous saying of Mahatma Gandhi echoes from somewhere nears the horizon. Man should stop being more and more greedy of technology. But is not the greed of seeking knowledge is good? In our pursuit we have got struck. Should we move forward or should we look backward. What are the solutions? I think Bill Joy himself has no answers at the end of writing this article. However an immediate action could be putting up a strong regulation on the development of GNR technologies. But this can only be a temporary treatment and not the permanent cure of the problem.
12 January 2007
Maine pucha hai apka nam...
Bari shiddat se pucha hai maine apka nam
Khud batayengi ya muntazir rahoon umr tamam
Bismiallah ki tarah rakhoonga nam sar ankhon pe
phir sajda karoonga main uski subh aur sham
Voh qayamat ka din hoga jab tu hamnam ho jaye
sabz patton pe milayenge tab ham jam se jam
yeh kya moijza hai ki tu itna pakiza ban gaya
ghazal beabroo ho jaye ki kis tarah loon tera nam
muntazir= awaiting, bismillah: start in the name of Allah
sabz: green, hamnam: sharing same name, moijza: miracle
Sabr (Patience)
Sabr zamin hai teri azmaish ka
Jo furat khud na chali aye, tu use rok de
Shiddat-e-tashna-dahani tera kya imtehaan legi
Jo teer gale ke par ho jaye tu use rok de
Farsh-e-aza pe tera sajda qayam hai aj
Jo shimr hath barhaye, tu use rok de
Justujoo yeh ki voh bepardah na ho
Jo chadar chin ke le jaye, tu use rok de
zamin: guarantor, furat: stream of water,
Shiddate-e-tashna-dahani: thirst
farsh-e-aza: place for mourning
shimr: the person who killed Him
02 January 2007
Unknown
He was the harbinger of truth
The peaceful calm and strong identity
Living in an old village
Giving directions to the land
Its occupation and future interests
His words were his best arms
Actions from the depth of contemplation
Experimenting that hidden philosophy
He lived in his own way
Protecting those beliefs
Which were never recognized
Where went those followers?
Promised to reciprocate
In the land of misery
With in that untouched spiritual abode
He lives like an unknown