04 April 2007

Sehar


har pal har shama khamosh gumsum hai

ek bebas aawaz chupchap dharakti hai

kaoi to ho jo subah se pahle aye
is tarik rat main ek shama jalaye

main qlalam ke aasuon ko rokta raha
voh shab-e-gham youn tarapta raha

yeh khoon zameen pe kisne bahaya hai
aisa lagta hai koi lot aya hai

ham farishton ko bhi millat main mila lete
khoon insaniyat ka gar you na bahate

waqt thahar chuka hai yeh meraj kaisi
shayad sehar hone ko hai pahle jaisi

sehar=morning;shab-eghab: night of mourning;

1 comment:

shivendra said...

Kitna vishal hai hriday aapka!!Aap duniya ke har ek hriday me base rahen aur puri duniya ka pyar aap par barasata rahe!!Shubhkamnayein.