04 April 2007

Sehar


har pal har shama khamosh gumsum hai

ek bebas aawaz chupchap dharakti hai

kaoi to ho jo subah se pahle aye
is tarik rat main ek shama jalaye

main qlalam ke aasuon ko rokta raha
voh shab-e-gham youn tarapta raha

yeh khoon zameen pe kisne bahaya hai
aisa lagta hai koi lot aya hai

ham farishton ko bhi millat main mila lete
khoon insaniyat ka gar you na bahate

waqt thahar chuka hai yeh meraj kaisi
shayad sehar hone ko hai pahle jaisi

sehar=morning;shab-eghab: night of mourning;

01 April 2007

Paigham (Message for everyone)


paigham gar mohabbat ho insaniyat ka

to shigaaf na ho phir ittehad main

voh aawaz dein to kahna justojoo hai bas
ho amn aur sukoon phir bazar main

subah se lash uthata hun sham tak
kate hain sar kisne phir makan main

waqt aur lamha palat nahin sakta
kash voh fiza ho phir avaam main

har gali khush rang kahkashan si ho
aao baland hath karein phir dua main

paigham=message; shigaaf=divide; ittehad=unity;
amn=peace;lash=dead body, avaam=citizens;

[I have written this poem in hope to stop all kind of bloodshed. Lets pray for peace and serenity in each and every corner of mother earth.]

09 March 2007

Sajda


raqbat-e-ilahi aur zehan pak hai

yeh kin uchaiyon ko chu liya maine

sajde main sar hai kham,koi nahin hai gham
teri bandigi main khud ko kho diya maine

na chahiye mujhe jannat na hai dozaq ka khauf
kam jo a sake to sar apna kata diya maine

har lamha har waqt bas tu nazar ata hai
yeh kaisa moijza hai ki dard pi liya maine

raqbat-e-ilahi=divine love; moijza=miracle;

07 March 2007

Gumsum

voh jo subah na ho saki
voh jo shama na jal saki
waqt rukta nahin kisi ke liye
main barhta raha usi ke liye
ye kaisa bhanvar,kaisi khamoshi
jis taraf nigah hai
vahan rah nahin dikhti hai

ab phir se sonchta hun
ki kyon main dhoondhta hun
kahan hai voh saqi
jo hai nahin baqi
shabd gumsum, tareeki si chayi hai
shayad kho chuka main yahin
ya jaan baqi hai kahin?

06 March 2007

Na roko is tarah...


na roko is tarah ki main ja nahin sakta

voh bulaenge to kya main a nahin sakta

shab hogi ya sahar hogi kisko fiza ka khauf?
us waqt hosh hoga yeh bata nahin sakta

phir yahi sham, phir vahi khushnuma khayal hai
haya main chip raha ki sir chipa nahin sakta

main badal ki tanhayi ko na samjha kabhi
ashq hain jari ki juda ho nahin sakta

shab=night;sahar=morning

;khauf=fear

Kuch Uljhe Shabd


shabdon ke pher main na uljho is tarah

yeh awazein hain jo tumhein kha lengi

mera man to sada tha aur seedha rahega
jo puch rahe ho tum, kya khayal hai?

aj phir main sonchta hun voh bete hue din
waqt thahar chuka hai, nabz baqi hai abhi

sharmindagi nahin, par haya to ati hai
nam tera mahfil main kis ne pukara hai?

nabz=pulse;

05 March 2007

Ummid qayam hai....


ummid qayam hai taqdeer har waqt banti hai

mere rahbar teri tasveer bar-aqs banti hai

tasavur-e-ilahi aur tera gham jana
jis traf dil hai vahan rah savarti hai

yeh kaise marasim hain jo har waqt hain taza
dard hota hai dil main to tees si uthti hai

hamein kon samjahay ki mohabbat kya hai
voh bat bhi karte hain jahan bat nahin banti hai

Taqdeer=fortune; rahbar: guide; bar-aqs=face to face;
tasavur-e-ilahi= thinking about God; rah=way; marasim= relations;
tees=pain