paigham gar mohabbat ho insaniyat ka
to shigaaf na ho phir ittehad main
voh aawaz dein to kahna justojoo hai bas
ho amn aur sukoon phir bazar main
subah se lash uthata hun sham tak
kate hain sar kisne phir makan main
waqt aur lamha palat nahin sakta
kash voh fiza ho phir avaam main
har gali khush rang kahkashan si ho
aao baland hath karein phir dua main
paigham=message; shigaaf=divide; ittehad=unity;
amn=peace;lash=dead body, avaam=citizens;
[I have written this poem in hope to stop all kind of bloodshed. Lets pray for peace and serenity in each and every corner of mother earth.]
3 comments:
Kitna vishal hriday hai aapka!!!!Aap duniya ke har ek hriday me base rahen aur sari duniya ka pyar nitya nirantar aap par barasata rahe!!Shubhkamnayein
Kitna vishal hriday hai aapka!!
Aapke dil me poori duniya sama jaaye..Bhagavan kare ,aap ka yash puri duniya me chha jaye.
Post a Comment