27 October 2011

Rubaroo

mahfil-e-rubaroo main tu raz-e-guftagoo ban ja
jo jal rahi hai shama tu uski abroo ban ja

nahi tera koi sanee, nahin tera koi hamsar
gar hai haqeeqat, tu uski arzoo ban ja

ab firaq-e-yaar main koi jiye kyonkar
visal-e-yaar ki tu justujoo ban ja

Ishq ki sarhadoN se

ishq ki sarhadon se uthke main tawaaf karta hun
yun is tarah main apne junoon ka ietraaf karta hun

karun lafzon main bayaan to lafz nahin milte
ghazal to khud banti hai jab tera deedar karta hun

mera dil kisi shak main mubttaila ho kyuN
main teri har baat pe aitbaar karta huN

duniyan main mahabbaton ki kami si hai
har ek baat pe jo main fasaad karta huN

khuda ne dhoondh liya mujhko meri tanhayi main
yeh voh azmayish hai ki jiska main izhaar karta huN

Haqeeqat-e-Yaar

Munatzir hai har shab haqeeqat-e-yaar dekh le
jo visal-e-yaar ka ho shak to aj dekh le
udhar se aftab usko salam karta hai
idhar se mahtab ki rangat tamaam dekh le

Dariya-e-neel se ek shola jo ban ke aya hai
saba ne jiske liye naya geet gungunaya hai
zameen pe charo taraf khushnama si rangat hai
jalw-e-yaar main poshida subh-oshaam dekh le

labon pe ake haruf ek nazam si banti hai
kam sukhan ke liye ek ghazal si banti hai
na koi shakl na soorat mere yaar ki hai
mujhe talash hai jiski na usko koi delhle

Ek Koshish

khudi main khud ko bhula khud ka pata dhoondhta hun
sarhadoN pe main qadmoN ke nishAN dhoondhta huN

Mera yaar hai mere paas aur main bekhabar
na jane kis makaN main lamakaaN dhoondhta hun

tere qareeb aur tujhse juda hone ke baad
jo fasle tai kiye unko yahaan dhoondhta huN

meri vahshat teri shohrat aur yeh mera intezaar
jab tu na mila to dar dar pe khara dhoondhta hun

sab mushkile ho asaN jo tu ek nazar dekh le
tu ho gaya ab mera to kya dhondhta huN.

Voh Jo Akela Hai

Voh jo akela hai uska pata dhoondhta hun
MaikhanoN main, sarkon main aur bazaaron main,
Subah-sham, raat din nitya har samay
Uska pata dhoondhta hun

Koi to jaanta hoga koi pahchanta hoga
Thaka hara main bechara bas uska pata dhoondhta hun
Har taraf har jagah dhoondh chukka hun main
Tapish ki dhoob aur siyaah raat
Dil khol ke rakh doon ki dil kho chukka hun main

25 May 2010

Ek Afsaana

muddat se likh raha hun ek afsana-e-inqalab
koshish meri hai ki voh jo ban jayega aftaab
apni azad fikr se karega yun zamane ko roshan
ki har ek mazoloom ki bebasi ka mujahid bankar
gard ko chaak kar manzil ka nishaan dhoondhega
kya jhoom ke niklegi fiza main bekhudi apni
rafta rafta saya ban ke jo mere sath hoga
voh inqelaab mere nafs ka sipah-salaar hoga
yeh afsaana kagaz pe nahin dil pe liknha hai mujhe
ki jab koi vaar seene pe ho to yeh aur bhi roshan ho

11 May 2010

Tauheed (Unity)

jab tu dikha to sab dikha
jo kuch dikha tujhmein dikha
sabse alag sabse juda
bas ek tera sang dikha

har ek rang, har ek dhang
tujhme mila tujhse khila
to ho gaya jispe fida
voh ban gaya apna khuda

afsana teri zaat ka
parvana ban ke ghumta
ho jaye uski kab fana
khud jo khudi main doobta