27 October 2011

Voh Jo Akela Hai

Voh jo akela hai uska pata dhoondhta hun
MaikhanoN main, sarkon main aur bazaaron main,
Subah-sham, raat din nitya har samay
Uska pata dhoondhta hun

Koi to jaanta hoga koi pahchanta hoga
Thaka hara main bechara bas uska pata dhoondhta hun
Har taraf har jagah dhoondh chukka hun main
Tapish ki dhoob aur siyaah raat
Dil khol ke rakh doon ki dil kho chukka hun main

25 May 2010

Ek Afsaana

muddat se likh raha hun ek afsana-e-inqalab
koshish meri hai ki voh jo ban jayega aftaab
apni azad fikr se karega yun zamane ko roshan
ki har ek mazoloom ki bebasi ka mujahid bankar
gard ko chaak kar manzil ka nishaan dhoondhega
kya jhoom ke niklegi fiza main bekhudi apni
rafta rafta saya ban ke jo mere sath hoga
voh inqelaab mere nafs ka sipah-salaar hoga
yeh afsaana kagaz pe nahin dil pe liknha hai mujhe
ki jab koi vaar seene pe ho to yeh aur bhi roshan ho

11 May 2010

Tauheed (Unity)

jab tu dikha to sab dikha
jo kuch dikha tujhmein dikha
sabse alag sabse juda
bas ek tera sang dikha

har ek rang, har ek dhang
tujhme mila tujhse khila
to ho gaya jispe fida
voh ban gaya apna khuda

afsana teri zaat ka
parvana ban ke ghumta
ho jaye uski kab fana
khud jo khudi main doobta

09 November 2009

Aulaad ki Pukaar (A Child's Voice in Mother's Womb)

Shikam-e-madar main baitha voh sonchta tha
Kya meri maan mujhe yun maar dalegi
Aj aisi kya beeti hai us pe Maula
Jo subh se na mili hai ab-e-hayat
Kis tarah ab milegi mujhe meri khuraq
Vada jo tune kiya tha, koi zariya bana

Kis qadar mahdood hun main is shikam main
Maut aur hayaat ke darmiyan,
Hai yeh nau (9) maah ki zindagi
Tujhe khabar nahin mere Maula
Jo mere sath, kisi aur ke ghar aya tha
Uski maan ne use zinda shikam main dafnaya tha

Jab se aisi koi khabar ati hai
Yeh nau(9) maah ki zindagi badtar nazar ati hai
Kis tarah tune mujhe apna banaya hai
Ek ek dane ke liye uska banaya hai
Voh bhi kya sonchti hogi ki kya baar hun main
Ji jise chahe voh ji ka janjaal hun main

Bas ek hi dua lab par mere ati hai
Uski khushi main maut bhi shakkar nazar ati hai
Zindagi phir jo mili to voh saza si hogi
Maut ab mere liye ek dua si hogi
Aye meri maan kaat de jo rabt hai mujhse
Koi pooche to kehde ki khabt hai mujhse


Shikam-e-madar: Womb of the mother; ab-e-hayat: water of life; shikam: womb

Below is just an attempt to translate my own poem which is very hard. Doesn't sounds like the one above

In his mother’s womb he was thinking,
Will my mother will kill me like this
What happens to her today?
Haven’t got a single drop of water
How will I get my sustenance? My Lord!
Which you have promised, find a way

How limited I am in this womb
Between Death and life
This living of 9 months
You don’t know my Lord!
The one who came to the other house with me
Was buried alive in his mother’s womb

Since then, whenever I get any news like this
This life of 9 months become even worst for me
How have you made me for you
Always asking for food and sustenance to her
How she must have be thinking of a load like me
Whom she likes and detest the most

Now only one prayer comes to my lips
In her happiness even death will taste sweeter
If still I remain alive it will be a punishment
Death will remain like a prayer to me
O mother! Kill all the connections which I have with you
If any one ask, tell him that I was just a madness

05 May 2009

A Tribute to Mahatma

Jab har tarf andhera tha to deep jalaya tumne
Ek ujre chaman ko yun basaya tumne

Farq haq aur batil ka samjhaya humko
Paigham-e-mohabbat yun phailaya tumne

Phir chor chale tanha, gum ho gaye tum
Kyon aur kab yeh bhi na bataya tumne

Kis qadar sab ko zaroorat hai tumhari
Kya sonch kar daman churaya tumne

Hai yaqeen dil main ki phir milenge
Aisa rishta humara sajaya tumne

Zindagi main inteqaal ki hasrat hai bepanaah
Maut ka munatazir jo banaya tumne

07 March 2009

Akela Musaafir

Naye daur ka naya musafir ban ke
Nikla hai dekho kaise than ke

Bhool gaya ahbaab purane
Bichre phool apne chaman ke

Maan kyon kar phir yaad rakhti
Apni aulaad ko jan ke

Qudrat ka yeh insaaf
Na samajh main aya man ke

Chal raha hai voh akela
Faslay tay kar gagan ke

Har dard ki vajah Pakistaan main hai......

Ek awaaz khatarnaak raigistaaN main hai
Rooh-e-insaan kaise bayabaaN main hai

Har tarf dahshat aur tareeki ka alam
Har shaakh pe ullu gulistaaN main hai

Azmat-e-mulk aur mera junoon
Neelaam bazar-e-inglistaaN main hai

Voh charkh-e-chaharum se dekhte hain tamasha
Machi kaisi halchal qabristaaN main hai

Mere ishq ne use pakeeza kar diya
Meri mohabbat to kisi paristaaN main hai

Ek shama-e-aarzoo jalti hai raat din
Jism mera kisi shamshaaN main hai

Logon ne kis qadar na samjha mujhe
Poocho to us kamal se jo kuredaaN main hai

Hindustaan ki barhti abaadi ka sabab
Har dard ki vajah pakistaaN main hai

Kaise chalun zindagi main na samajh aya kabhi
Sari samajh to hamare siyasatdaaN main hai