09 March 2007

Sajda


raqbat-e-ilahi aur zehan pak hai

yeh kin uchaiyon ko chu liya maine

sajde main sar hai kham,koi nahin hai gham
teri bandigi main khud ko kho diya maine

na chahiye mujhe jannat na hai dozaq ka khauf
kam jo a sake to sar apna kata diya maine

har lamha har waqt bas tu nazar ata hai
yeh kaisa moijza hai ki dard pi liya maine

raqbat-e-ilahi=divine love; moijza=miracle;

07 March 2007

Gumsum

voh jo subah na ho saki
voh jo shama na jal saki
waqt rukta nahin kisi ke liye
main barhta raha usi ke liye
ye kaisa bhanvar,kaisi khamoshi
jis taraf nigah hai
vahan rah nahin dikhti hai

ab phir se sonchta hun
ki kyon main dhoondhta hun
kahan hai voh saqi
jo hai nahin baqi
shabd gumsum, tareeki si chayi hai
shayad kho chuka main yahin
ya jaan baqi hai kahin?

06 March 2007

Na roko is tarah...


na roko is tarah ki main ja nahin sakta

voh bulaenge to kya main a nahin sakta

shab hogi ya sahar hogi kisko fiza ka khauf?
us waqt hosh hoga yeh bata nahin sakta

phir yahi sham, phir vahi khushnuma khayal hai
haya main chip raha ki sir chipa nahin sakta

main badal ki tanhayi ko na samjha kabhi
ashq hain jari ki juda ho nahin sakta

shab=night;sahar=morning

;khauf=fear

Kuch Uljhe Shabd


shabdon ke pher main na uljho is tarah

yeh awazein hain jo tumhein kha lengi

mera man to sada tha aur seedha rahega
jo puch rahe ho tum, kya khayal hai?

aj phir main sonchta hun voh bete hue din
waqt thahar chuka hai, nabz baqi hai abhi

sharmindagi nahin, par haya to ati hai
nam tera mahfil main kis ne pukara hai?

nabz=pulse;

05 March 2007

Ummid qayam hai....


ummid qayam hai taqdeer har waqt banti hai

mere rahbar teri tasveer bar-aqs banti hai

tasavur-e-ilahi aur tera gham jana
jis traf dil hai vahan rah savarti hai

yeh kaise marasim hain jo har waqt hain taza
dard hota hai dil main to tees si uthti hai

hamein kon samjahay ki mohabbat kya hai
voh bat bhi karte hain jahan bat nahin banti hai

Taqdeer=fortune; rahbar: guide; bar-aqs=face to face;
tasavur-e-ilahi= thinking about God; rah=way; marasim= relations;
tees=pain

Madhoshi


asmanon ki har kashish ko chumta chala

yun jhoomta chala ki main ghoomta chala

dil-e-ashiqi main bhi bahut se arman qayam hain
phir yeh sanjidgi ka alam kyon chata chala

yeh kon hai jo madhoshiyon main hosh rakhta hai
khumari ka yeh asar ki main dubta chala

masjidain bula rahi hain aur maikhane saje hue
mujhko nahin hai hosh ki main chalta chala

maikhane=bars; masjid=mosque

Rubaroo

bar-aqs ho gayi zindagi tufaaan ke ane par
maut ho jati sharminda insaniyat ke jane par

hai har ghar main chirag is bat ka parcham
ki moijze baqi hain kuch aur dikhane par

garibi teri bebasi aur teri tanhayi ka alam
badal na sakega yun amiri ke ane par

shan-e-haq aur batil ke beech ka farq zinda hai
varna sab khatm ho chuka hota uske jane par

batil=evil; shan-e-haq=good; moijze=miracle;
bar-aqs=rubaroo (face to face); parcham=flag;

04 March 2007

al-muntazir


naqsh dil main sajoye rakhe hai

ashq hamne bhigoye rakhe hain
al-muntazir ap ki amad main ham
daman apna bichaye rakhe hain

har lamha har waqt tera intezar
qayam vujood dil main beqarar
mahfil jo sham se saj na saki
mehmaan apke bulaye baithey hain

---Tribute to "Mahdi"

ashq=tears; al-munatzair=awaiting;

Pratibimb (Reflection)


pratibimb chakrit hai,

koi use vishram to de.
thak chuke ab yeh asoon,
koi inhein tham to le.

surya nikla hai chitij pe,

uski hi mahima hai.
pushp jo mahak utha,
uski hi garima hai.

bik rahi bazaron main,
apsara mere khwabon ki.
pawitra hai vishisht hai,
koi uska dam to de.

yeh sanyog hai yo viyog,
shrangar ka abhilashi man.
kis tarah milenge priyatam,
koi mujhe jawab to de.

chakrit=disturbed; vishram=rest;
chitij=horizon.