30 December 2011

Kya Kya Dekha

Subh aur Shaam in ankhoN ne kya kya dekha
Kahin darya kahin sehra dekha

Door ufaq pe maine dekha ek gul aur chaman
Dasht pe phir insaaN ko tarapta dekha

Tumhari yaad ne kar diya sairaab mujhko
Bhari mehfil main yeh jo dil tanha dekha

Eik Awaz ko sun ke pahuncha tere dar par main
jab bhari anjuman main khud ko ruswa dekha

Kar rahe ho kyoN ranj-o-buqa haider
kabhi kisi ko kya tumne apna dekha

At The Pacific Ocean

Tum se milne ki hasrateiN ab beparvaah hone LageeN
Jo samandar ki lahrein kinare se milne LageeN

Kuch Uchli, Kuch Machli aur kuch bal kha ke matki
Dil ki tanhaiyaN phir kuch behakne lageeN

Door Ufaq pe Aftaab Ghuroob hota hai
Ki Subh se ek vaada jo tum karkne LageeN

Dil kyuN tumhari yaad main afsurda Hai
Ki tasavvur main tum SanwarneiN LageeN

Ab tum mere paas in LahroN ki tarah a milna
Haider yeh sada sun ke voh Chahakne LageeN

15 December 2011

shama roshan hai

voh jab ate hain to ghar kuch badal jata hai
unki khushboo se sab sanwar jata hai

shamma roshan hai phir bhi andhera sa lage
voh na hoN to dil kyoN thahar jata hai

har waqt har lamha intezaar aur beqaraar
unke ane ki khabar sun ke chahak jata hai

ab ki baras tum mere qareeb hona
tumhare na hone se dil tarap jata hai

yeh kya moijza hai ki tum mere paas ho
meri aarzoo ka jaam phir chalak jata hai

Yeh tumhare waswase or shokhiyaN haider
Noujawani main kyon Dil behak jata hai

05 December 2011

Ya Maula!

Maula tera jo dar hai mere Dil ki Aarzoo hai
Tere hawale ya Rab ab meri Aabroo hai

Phir Duniyay-e-Mamlakat main ek Talatum hai
Par kyuN ho Dil parehsaaN tu jo mere Rubaroo hai

Sar ko kata duN ab maiN ki khud jo mita nahiN hai
Meri hasti mere Rehbar ab tujhmaiN Surkhuroo hai

Haider na der ho kahiN yeh voh Maqaam hai
Uski Raza, Uski Chahat ab teri Justujoo hai

23 November 2011

Baqaa

kya poochte ho mujhko tujhse kya chahiye
tere ishq main fanaa hun, baqaa chahiye

tere dar pe khara hun tashna-lab kis qadar
ek jam-e-kausar nazron se ata chahiye

tumhari yaad, tumhara intezar aur dil-e-beqaraar
ab zindagi main iske siwa kya chahiye

aj jo ayina dekha to tum nazar aye
khudi se poochta hun ki khud ko kya chahiye

subh gulzaar hai aur shabnam ne lee hai angrai
bas yadon ke siwa gul ko kya chahiye

Ab kya mangoon, raza teri, khushi teri, sehar teri
jo tujh pe mit chuka ho use tujhse kya chahiye

haider kyon dhoondhte ho mehboob har dar pe apna
voh to kab se hai muntazir, aur kya chahiye

14 November 2011

Husn Ki Mahvishein

Husn ki Mahvishein hazaar dekhi
Lakh jalwe bahaar dekhi
Na dekha koi tujhe hamsa chahne wala
Dil ki hasratein jo aar-paar dekhi

Neelaam mohabbat sar-e-bazar dekhi
Raz-e-haqiqat aas-paas dekhi
Na dekhi koi shama bazm main main roshan
Jali jo khud se to shahkaar dekhi

Hazaar janein jo tujhpe beqaraar dekhi
Ek Choti si jaan apni khaaksaar dekhi
Na dekhi koi aarzo-e-talab mujhme
Jo Ek nazar dil ke aar-paar dekhi

Phir Tasawwur main soorat teri aj dekhi
Ayina-e-majaz main khudi bhi sharmsaar dekhi
Na dekhi hamne dil ki aarzoo yuN qurbaaN
tere pehloo main ulfat jo beshumaar dekhi

08 November 2011

bahut kam Dekhe

Jalwa-e-yaar ke charche idhar udhar dekhe
tujhe sarahne wale bahut kam dekhe

Ahl-e-shariyat aur Ahle-e-tariqat dekhe
Tere chahne wale bahut kam dekhe

Dekhe humne ishq ke unche unche dawe
jaan apni lutane wale bahut kam dekhe

Saqi-e-Kausar mila khudi se jo gaye hum
par yahaN pahuNchne wale bahut kam dekhe

Haider tum jo bane ho ghulam-e-boo-turaab
Yun Khaak maiN mitne wale bahut kam dekhe