09 April 2016

Khat (Lakeir)

Kisi Ghayr Ne Bana Di Hamare Tumhare Beech Yeh Khat
Maan Baithe Jise Hum Patthar ki LakerieN
Yeh Mulk Humara Voh Tumhara
Na Tum Hamare Na Hum Tumhare
Na JaneiN Kon Se Lamhaat Ne Yeh Shigaf Dala Hai
Ki Patharon Se Bhi Aawaz Nikalti Hai YuN Pyare
Ek Dil Hamara Bhi Hai Jo Tuta Sa Hai
Phir KyuN Tum Karah Bharte Ho Sare Ke Sare
Ek Panchi Ki Tarah Ur Ke Pahunch Jai Koi
Farq Lakiron Ka Mita Ke Muqaddar Saware
Shab Ke Aagosh Main Voh Bhi KahaN Dikhta Hai
Kya Farq Bataya Hai Jo Na Samajh Aye Hamare
Is Khat Pe Khoon-e-Nahaq Kisne Bahaya Hai
Ki Har Goshe Se Aawaz Nikalti Hai Khudare Khudare
Hai Dua Bas Ki Nishan-e-Farq Mitayein
Phir Jo Ho Roshan Voh Ghar Hamare Tumhare
Haider Na Der Kar Ki Subha Namudaar Hai
Thaam Le Haath Ki Zindagi Basar Uske Sahare

Khoon-e-nahaq: innocent blood, Shigaf: divide

12 January 2016

Tamaam-e-Hasrat

Nayi Subah Main Tujhe Salam Karta Hun
Teri Awaz Se Phir Kalam Karta Hun

Tumne Vada Kiya Ki Tum Inqilaab Laoge
Naya Sooraj Naya Mahtaab Laoge
NayiN Kiran NayiN Sonch Jagaoge
Har Dil Main Apna Maqaam Banaoge

Isi Ummeed Se Subah Sham Karta HuN
Ek Chiraagh Tere Naam Karta HuN

Bazm-e-Husn Main Ishq Ki Ma’rifat Hogi
Teri Chokhat Pe Apni Masarrat Hogi
Kuch Is Tarah Meri Mohabbat Hogi
Har Su Roshan, Teri Ibarat Hogi

Ek Hi Bas to Main Kaam Karta HuN
Teri Nazar se Peekar, Jaam Karta HuN

Har Lamha Isi Arzoo Pe Jee Raha Hun MaiN
Zindagi Tere Naam Se Pee Raha Hun MaiN
Tum Na Ho To Mujh Main Kya Paun MaiN
Khaaq Ban Ke Mitti Main Mil JauN MaiN

Kuch Na Baqi Rahe to Kya Daam Karta HuN
Har Fikr-e-Nasheman Ko Haraam Karta HuN

Naye Aur Purane Ko Dhoondh Kar DekhuN MaiN
Na Kuch Mila YahaN Taaza Na Baasi UsmaiN
Har Is Ummeed Pe Ki Tum Mere Paas Hote
Har Us Lamhe Ko Ji Raha HuN MaiN

Teri Ulfat Ke Paikar Bar-Sar-e-Aam Karta Hun
Teri Yadon se Hasrat Tamaam Karta Hun

-haider nakhojabadi