23 November 2011

Baqaa

kya poochte ho mujhko tujhse kya chahiye
tere ishq main fanaa hun, baqaa chahiye

tere dar pe khara hun tashna-lab kis qadar
ek jam-e-kausar nazron se ata chahiye

tumhari yaad, tumhara intezar aur dil-e-beqaraar
ab zindagi main iske siwa kya chahiye

aj jo ayina dekha to tum nazar aye
khudi se poochta hun ki khud ko kya chahiye

subh gulzaar hai aur shabnam ne lee hai angrai
bas yadon ke siwa gul ko kya chahiye

Ab kya mangoon, raza teri, khushi teri, sehar teri
jo tujh pe mit chuka ho use tujhse kya chahiye

haider kyon dhoondhte ho mehboob har dar pe apna
voh to kab se hai muntazir, aur kya chahiye

14 November 2011

Husn Ki Mahvishein

Husn ki Mahvishein hazaar dekhi
Lakh jalwe bahaar dekhi
Na dekha koi tujhe hamsa chahne wala
Dil ki hasratein jo aar-paar dekhi

Neelaam mohabbat sar-e-bazar dekhi
Raz-e-haqiqat aas-paas dekhi
Na dekhi koi shama bazm main main roshan
Jali jo khud se to shahkaar dekhi

Hazaar janein jo tujhpe beqaraar dekhi
Ek Choti si jaan apni khaaksaar dekhi
Na dekhi koi aarzo-e-talab mujhme
Jo Ek nazar dil ke aar-paar dekhi

Phir Tasawwur main soorat teri aj dekhi
Ayina-e-majaz main khudi bhi sharmsaar dekhi
Na dekhi hamne dil ki aarzoo yuN qurbaaN
tere pehloo main ulfat jo beshumaar dekhi

08 November 2011

bahut kam Dekhe

Jalwa-e-yaar ke charche idhar udhar dekhe
tujhe sarahne wale bahut kam dekhe

Ahl-e-shariyat aur Ahle-e-tariqat dekhe
Tere chahne wale bahut kam dekhe

Dekhe humne ishq ke unche unche dawe
jaan apni lutane wale bahut kam dekhe

Saqi-e-Kausar mila khudi se jo gaye hum
par yahaN pahuNchne wale bahut kam dekhe

Haider tum jo bane ho ghulam-e-boo-turaab
Yun Khaak maiN mitne wale bahut kam dekhe

Muntazar (awaiting)

Rahbar-e-ishq maiN haiN Khizar bhi Muntazar
Hai fizaa bhi Muntazar aur Chaman bhi Muntazar

Allah ke mehboob ki Jalwah FishaaaN nazroN se hai
Sham-o-sahar bhi Muntazir, do pahar bhi Muntazar

Raz-e-Mohammad hai kya, Jibrael se poocho
bal-o-par bhi Muntazar, Naqsh-o-qadam bhi Muntazar

Jab se liya hai hath, mehboob-e-awliya ho tum
hai raz-e-haqeeqat Muntazar, peer-e-tareeqat Muntazar

Gumbad-e-khazraN se tumko a rahi hai ek sada
karbal-o-sham ke haiN jo rehbar muntazar

Ibn-e-maryam-o-al-mahdi-o-sarkar ki amad ke sab
bahr-o-bar haiN muntazar, shams-o-qamar haiN Muntazar

Haider tu kooch kar hauz-e-kausar ki taraf
Hain Ahmed bhi Muntazar, Hasnain-o-Haider Muntazar

Jo Karna Hai.......

Jo karna hai kar lijye
Par meri khabar lijye

Is tute dil ki tarz suniye
aur chahe kuch mat suniye

chahe izhaar mat kijye
hamse pyaar par kijye

Khuda ki rehmat jo baniye
Is faqir ko chun lijye

06 November 2011

DhuaaN (Smoke)

Jo uth raha hai dhuaaN kahaaN thaharta hai
Badal raha hai samaaN kahaaN thaharta hai

Lagi hai aag dil main mila hai tu jab se
Sukoon-e-dil ke liye aab-e-ravaaN kahaaN thaharta hai

Dile-e-shikasta ko aik arzoo ne bandha hai
shab-e-visaal ka kon-o-makaaN kahaN thaharta hai

Na jane kyon is waqt teri yaad ayi hai
Dile-e-nadaaN ka GumaaN kahaN thaharta hai

Chaman main gul se saba ne poocha hai
tere mehboob ka nasha kahaN thaharta hai

Barhe Jibrael is had se to bal-o-par jal jayein
Mere habeeb ki hadoN ka bayaaN kahaN thaharta hai

Ishq-e-Rasool, Ishq-e-Ali aur Ishq-e-Husain se
Haider teri qismat ka jahaaN kahaN thaharta hai

04 November 2011

Unke Astane Pe

AyaN hai Koh-e-toor ka manzar unke astane pe
Chipe hain lakhoN pas-manzar unke astane pe

Bhatak raha tha Konain ki do rahon pe
Mila hai Jam-e-kausar unke astane pe

Yeh Junon-o-Ishq, yeh fana-o-baqa aur yeh bekhudi
Khuli hai raz-e-haqeeqat unke astane pe

Nasha aisa ki utarta nahin ab kyonkar
Mila hai saqi koi aisa unke astane pe

Chali simte ghayb se ek hawa aur machi halchal
Qafas udas ho kyonkar unke astane pe

Kya poochte ho usko kya mil gaya kaise
Jo kho chuka ho sab unke astane pe

Jo kuch nazar ata hai tu hi to nazar ata hai
Hui hai kaisi basharat unke astane pe

Ab kahan khojein kahan payein kise apna
Bana hai voh jo hamsafar tere astane pe

KruN phir sajdah yahaN dam bhar ke haider
Bana hun ghulam-e-mustafa tere astane pe

02 November 2011

char din ki zindagi

Mahfil-e-Noor main pashemaaN hai char din ki zindagi
khud se juda hoke khud ki nigehbaaN hai aj kal ki zindagi

Is zindagi main nayi zindagi talashti hai zindagi
naye ufaq pe naya mehboob sanwarti hai zindagi

kyon is tarah phir apne ko pukarti hai zindagi
jaise sukoot-e-shab main kraharti hai zindagi

mere raqeeeb mere hamsafar mere shan-e-zindagi
mujh se rooth ke phir mujh ko manati hai zindagi

kabhi to apni khudi ki pahchaN kar aye zindagi
varna dar badar bhatakti rahegi pareshaN aye zindagi