04 December 2008

Shikwa (after terror attacks in mumbai)

yeh kis ne rakha hai barood meri rahon mein
main kab ka mar gaya hun is zamane main

Kon ake bicha jata hai nafratein yahan
Kis ko milta hai maza phir ghar banane main

Khamosh ek atish ki manind hai yeh zindagi
Kya fayda hai ise aur jalne jalane main

Khuda ke liye ab bas band karo yeh shikwa
Koi nahin sanjidah yahan sunne sunane main

07 November 2008

Bhagvaan Krishna se Ek Mulaqat


Ek baar mele main mil gaye jo shri Krishna

Pooch baitha main, kaisa hai mijaz apka

Farmaya unhon ne karne aye hain tafreeh mele ki
Yahan is tamashe main jo milta hai amrit ankh ka

Main ne kaha bhagvan dharm bahut sankat main hai
Kya fayda hai duniya main apke avtaar ka

Gopiyon pe voh nazar kar yun batlane lage
Samajhta hun haal main tumhare jazbaat ka

Zara dekho gopiyan hain kis qadar sundar
Kyon kar rahe ho tazkira tum aj maar kaat ka

Kaha maine is khoobsoorti pe na jaiye bhagvan
Yahan kahan hai maza gokul ke us raag ka

Sharm aur haya na jane kahan kho gayi hai
Khoobseerat gopiyan to tasavvur hain mere aj ka

Bhakt ke dukh ko sunke dravit ho gaye bhagvan
Khol ke rakh diya sach phir apne haalaat ka

Thak gaya hun baar baar leke avtaar main ab
Haal nahin dekha jata is dharm bhrasht sansar ka

Koi to bane arjun mera, satya ke liye kare yudh
Hai koi mard-e-mujahid jo karde vinash andhkaar ka



29 October 2008

Shwait-Shyam (Black and White)


Charitra ke nirmaan main charitra na badla karo

Shwait rangon main shyam mat ghola karo
Shwait to swakhshta ka prateek hai
Shyam Krishn ki chanchalta ka swaroop
Donon nakshatra hain ambar main vibhushit
Tum jeevan main shwait-shyam mat dhoondha karo


Sach


Sach batana hi tha to sach chipate kyon ho

Mohabbat hai agar jhuti to sir katate kyun ho

Hai raz-e-mohabbat gar dil pe itna bhari
to nau-javaani main dil lagate kyon ho

Tum nahin chahte ki ho voh rusvaa
yeh rasm-e-duniyaa nibhate kyon ho

Intezaar ka har pal hai kis qadar mushkil
Yun apne dil ko satate kyun ho


Khabar (News)

Khabar de koi mujhe kyonkar
Khabar ati nahin yahan kyonkar

Koi ata hai dil lagane ke liye
Koi jata hai dil chura ke kyonkar

Tum aj bhi is tarah se muskrate ho
Dard-e-dil ho bhala bayaan kyonkar

Hue hum unse yun vabasta
Ab duniya ki ho khabar kyonkar


Chiraag

Ek chirag chat pe tum jala dena
mere baad unko mera pata dena

voh jo poochein, kon rehta tha yahan
tha koi deewana bas itna bata dena

ek shama ban gaya hun intezaar main
thak gaya jalte jalte, mujho bujha dena

Hun usi ummeed main bechain main
Koi udhar ki khabar to dena

Ab koi ahat bhi nahin ati hai
aise veeraan se mujhko hata dena

28 October 2008

Ek Naya Deepak

aye deep kisi kone main chamakta kyun hai?
bujh ja varna dhoka ho jayega

andhkaaar si adat si lag gayi hai hamein
ummeed ban ke roshan hota kyun hai

lab pe ati thi dua banke tamanna kyunkar
zindgai shama ki soorat bhala kyun hai

har taraf dukh aur maut ka sannata hai
voh kyun ek naya deep jalata kyun hai

andhkaar: darkness; dua: prayer ; shama:light

24 October 2008

Kon Jalayega Shama


Zindagi main fursat nahin shama jalane ke liye

Koun ayega mujhe phir bachane ke liye

Qaid main jumbish ho to phir kyon kar ho
Sir barahna phir raha hun sir uthane ke liye

Sharm ahista se meri rooh main sama ayi hai
Ab mout bhi mayassar nahin sir chipane ke liye

Waqt ka ek mujahid hai abhi gumnaam
sare raah kyun para hai sir katane ke liye

Hue jo rusva har dar pe har koshishon ke baad
phir a gaye tere dar pe sir jhukane ke liye



jumbish: flexibility; mujahid: fighter; mout: death; mayassar: readily available

15 May 2008

Yukti

vigyan ki pragati main
sansar ki durgati hai

har us ki ati main
kis kis ki chati hai

gyan aur adhyatm main
sansar ki sampati hai

shastra aur shakt main
vipatti hi vipatti hai

vinash ke samay main
srijan hi ek yukti hai

25 February 2008

Nuzool (Descent)

Jab Khuda ne khayal use banane ka kiya
Kuch ek khaak aur aab zamane se liya

Noor aftab aur mehtab se li tavanayi
Roshan phir jise chiraghon ne kiya

qudrat ne bakshi jise har dam ravanayi
rooh-e-allah ne zinda zamane main kiya

tab javan banke nuzool hua uska vujood
jiska sajda farishton ne khawabon main kiya