25 December 2007

Aj Kyun ?


Chaudhvin ki raat main,

adhhora hai chand aj kyun
Baraste hue is aab main,
khushk hai sehra aj kyun

Kuch aise marasim the,
jo bhool gaye kabke
Phir kyun uthti hai tees,
behta hai lahoo aj kyun

Silsile tor gaye tum aise
ki do anjane the hum jaise
Phir jo aye ho tum milne
to pareshaan hai dil aj kyun

Har ek shakh pe parinda
sathi hai mere gham ka
Phir bhi kyun lagta hai
main hun jaise tanha aj kyun

Silsila


Shab yeh marham hai teri tanhayi ki

Jo silsile tor gaya voh tera daur nahin

muddatein beet gayin ishq ke izhaar ke baad
Jo tera na hua voh kisi ka jor nahin

misl mehtaab ki nikla tha falak pe voh noor
Jo sunayi bhi de voh aisa shor nahin

daag jo dil main lage voh ab dhulein kaise
vaqt ki raftaar ke mitte hain nishaan aur nahin

mehtaab= moon; falak=sky; noor=light;

21 December 2007

Ab Kisse Kahun..........

waqt ke mare hum bechare
kab se baithe jeevan hare

karm aur dharm ka yeh sangarsh
ab sab kuch tere sahare

voh pavitra bhi vichitra hai
jo tera charitra sanvare

abhilasha se nirash yeh man
bas tujhko hi pukare

kyun kahun aur kisse kahun
jab ho gaya man tere vare

madhya sagar main khoj raha pag
koi to meri nayya ubare

13 December 2007

Pasbaan (The Defender)


akhri waqt main kya khaak qadardaan honge

jo kal ghar aye the kya aj mehmaan honge

muddatein beet gayin yuhin muntazir rehkar
ab jo aye ho tum to dil pareshan honge

rukjao ki kuch lamhein udhar rooh se lun
na yun chor chale jism jo meherbaan honge

har lamha justujoo hai ki dam nikle to tum aoo
us sehar main bhi hum tere pasbaan honge

muntazir= awaiting; pasbaan=defender

05 December 2007

First Snow of Season


Shwait hai dharti aur chandrama ko hui jalan

hriday aj phir kyun kar raha smaran

swaksh amrit banke tapakta hai yeh jal
har taraf umang phir kyun jal raha hai man

vichitra sanyog aisa ki voh apsara bekhabar
main phir kyun baitha uski yad main magan

tirche naynon main ulajhti hain chanchal kirne
khitij hai phir kyun pulkit kaisi yeh chitvan

neele ambar se utarte hain sushobhit rang
ujala hai har kan phir kyun lagi lagan

pichli barkha ki tarah yeh rang utar jayega
ho rahe jo prasan to kyun phir shithil hai tan

Shwait=White; Chandrama=Moon; Hriday=Heart; Smaran=Remembering;
Swaksh=Pure; Kirne=rays; Khitij=horizon; pulkit=happiness;
ambar=sky; kan=particle; barkha=rain; prasan=happiness; shithil=weak.