09 July 2007
Pani (from the land of sacred 'waters')
Maghribi dhundh main bah gaya pani
Laaj aur sharm le gaya pani
Adab se hum na baith paye
Hichkiyon main pee gaye pani
Jo pak hota tha kabhi ganga main
voh aj khushk ho gaya pani
Lahoo nahaq ka kisne bahaya hai
Pee rahe the ki surkh ho gaya pani
Beabroo hui hurmat kya fasana hai
Dard aisa ki ashq ban gaya pani
taajjub yeh ki phir bhi bahta hai
ab kya kahein ki lajwaab pani
Maghribi= Western; khushk=dry; nahaq= innocent;
surkh=red; lahoo= blood; Hurmat= respect; fasana=story;
ashq=tears;
Subscribe to:
Posts (Atom)