05 October 2017

Allāh Hū


Main-kade main baith ke, MaiN kehta Allāh Hū
Har ek jaam chor ke, MaiN peeta Allāh Hū

Ek sḫama ko dekh ke, bolun maiN Allāh Hū
Jal jal ke hota fanā, bas bachta Allāh Hū

Shabbīr ka sar hai nok-e-naiza, bole Allāh Hū
Haq hota hai yuN ayaN, keh keh ke Allāh Hū

La fata illa ʿAli, jo bole Allāh Hū
Ek zarbat kha ke bana, yun banda Allāh Hū

Haq bola hai yeh Nabī neiN, keh ke Allāh Hū
MaiN jiska maula ʿAlī maula haiN, Allāh Hū

Mera Mursḫid, mera Maula, mera Allāh Hū
Kho gaya meiN meiN kahaN, meiN sochuN Allāh Hū

---------------------------------------------------------------------------------
TRANSLATION IN ENGLISH

Sitting in a bar, I say Allāh Hū
Refusing all other drink, I drink Allāh Hū

Looking at one lamp, I say Allāh Hū
Burned and annihilated (fanā), only remain Allāh Hū

Sḫabbir’s (Al-Ḥusain alehi salam) head is on a spear, says Allāh Hū
The Truth (Ḥaq) is shining by saying Allāh Hū

La fata illa ʿAli (There is no victory without Ali) said Allāh Hū
On receiving the one strike on his head, the man became Allāh Hū

The Prophet said the Ḥaq (Truth), by saying Allāh Hū
Whose Maula (master) I am, Alī is the Maula, say Allāh Hū

My Mursḫid (teacher), my Maula (master) and my Allāh Hū
Where am I? I am lost, am I thinking, Allāh Hū.










09 April 2016

Khat (Lakeir)

Kisi Ghayr Ne Bana Di Hamare Tumhare Beech Yeh Khat
Maan Baithe Jise Hum Patthar ki LakerieN
Yeh Mulk Humara Voh Tumhara
Na Tum Hamare Na Hum Tumhare
Na JaneiN Kon Se Lamhaat Ne Yeh Shigaf Dala Hai
Ki Patharon Se Bhi Aawaz Nikalti Hai YuN Pyare
Ek Dil Hamara Bhi Hai Jo Tuta Sa Hai
Phir KyuN Tum Karah Bharte Ho Sare Ke Sare
Ek Panchi Ki Tarah Ur Ke Pahunch Jai Koi
Farq Lakiron Ka Mita Ke Muqaddar Saware
Shab Ke Aagosh Main Voh Bhi KahaN Dikhta Hai
Kya Farq Bataya Hai Jo Na Samajh Aye Hamare
Is Khat Pe Khoon-e-Nahaq Kisne Bahaya Hai
Ki Har Goshe Se Aawaz Nikalti Hai Khudare Khudare
Hai Dua Bas Ki Nishan-e-Farq Mitayein
Phir Jo Ho Roshan Voh Ghar Hamare Tumhare
Haider Na Der Kar Ki Subha Namudaar Hai
Thaam Le Haath Ki Zindagi Basar Uske Sahare

Khoon-e-nahaq: innocent blood, Shigaf: divide

12 January 2016

Tamaam-e-Hasrat

Nayi Subah Main Tujhe Salam Karta Hun
Teri Awaz Se Phir Kalam Karta Hun

Tumne Vada Kiya Ki Tum Inqilaab Laoge
Naya Sooraj Naya Mahtaab Laoge
NayiN Kiran NayiN Sonch Jagaoge
Har Dil Main Apna Maqaam Banaoge

Isi Ummeed Se Subah Sham Karta HuN
Ek Chiraagh Tere Naam Karta HuN

Bazm-e-Husn Main Ishq Ki Ma’rifat Hogi
Teri Chokhat Pe Apni Masarrat Hogi
Kuch Is Tarah Meri Mohabbat Hogi
Har Su Roshan, Teri Ibarat Hogi

Ek Hi Bas to Main Kaam Karta HuN
Teri Nazar se Peekar, Jaam Karta HuN

Har Lamha Isi Arzoo Pe Jee Raha Hun MaiN
Zindagi Tere Naam Se Pee Raha Hun MaiN
Tum Na Ho To Mujh Main Kya Paun MaiN
Khaaq Ban Ke Mitti Main Mil JauN MaiN

Kuch Na Baqi Rahe to Kya Daam Karta HuN
Har Fikr-e-Nasheman Ko Haraam Karta HuN

Naye Aur Purane Ko Dhoondh Kar DekhuN MaiN
Na Kuch Mila YahaN Taaza Na Baasi UsmaiN
Har Is Ummeed Pe Ki Tum Mere Paas Hote
Har Us Lamhe Ko Ji Raha HuN MaiN

Teri Ulfat Ke Paikar Bar-Sar-e-Aam Karta Hun
Teri Yadon se Hasrat Tamaam Karta Hun

-haider nakhojabadi






13 September 2012

Qur'an

mahfil-e-nur main anwaar barasta hai Qur'an
ghazab yeh haal ki tashna hai jo saqqa hai Qur'an

karbala-o-shaam ke dar-dar pe thaharta vo hai
dekha jo use to nazar ata hai Qur'an

ek Qura'n naize pe karta hai bayaN
ashq jari hain mohibbon ke jo sunte hain Qur'an

hay hay layin marta durre kyun hai
durre parte hain to aah larazta hai Qur'an

innama kahke karta hai taharat ko ayaaN
yeh bhi Qur'an hai, tasdiq karta hai Qur'an

haiy maqtal main tune kiski rida chini hai
darbar-e-shaam main uryaan jo hota hai Qur'an

Qur'an banta hai gawaah in sitam zayifon ki
yeh jo bolein to samjho ki bolta hai Qur'an

ek Qur'an taaq se haider, yeh deta hai sada
daman-e-itrat ko gar pakroge to samjhoge Qur'an

06 February 2012

Yaad

Mohabbat tham nahin pati, teri yaad ati hai
Fiza main gungunane ko yuN tanha chor jati hai

Mere qatil ki aastinon main khanjar kyonkar chipa hoga
Voh to dast-basta mujhko yuN qatl karke jati hai

Shama ki aarzoo ab ki parvanaa fanaa ho jaye
Khud voh jal rahi har dam, Yun ulfat nibhati hai

Tum hamse aj kyun khafa hote ho
Yun tumse alag hona ab namumkin judai hai

Ulfat ke har pal haider, tumne kaise sanjoye hain
Ki jab koi nahin hota, voh YuN milne ati hai

01 February 2012

Rang (Color)

Paighame-e-maarifat ban gaya hai tu
Ek tasveer main dhal gaya hai tu

Subh se shaam muqarar teri khamoshi hai
Kuch Bol ki Haq ban gaya hai tu

Vaah kya akar ke chal raha hai tu
Yeh Kis rang main dhal gaya hai tu

Ab tor de zulm ki zanjiron ko
Kyon sonch ke sab chor gaya hai tu

30 December 2011

Kya Kya Dekha

Subh aur Shaam in ankhoN ne kya kya dekha
Kahin darya kahin sehra dekha

Door ufaq pe maine dekha ek gul aur chaman
Dasht pe phir insaaN ko tarapta dekha

Tumhari yaad ne kar diya sairaab mujhko
Bhari mehfil main yeh jo dil tanha dekha

Eik Awaz ko sun ke pahuncha tere dar par main
jab bhari anjuman main khud ko ruswa dekha

Kar rahe ho kyoN ranj-o-buqa haider
kabhi kisi ko kya tumne apna dekha